shahnawaz

Sunday, May 22, 2011

dushwar kam ka aasan hona

Bas k dushwar ha har kam ka asan hona. aadmi ko bhi mayassar nahi insan hona, grya chahy ha kharabi mery kashanay ki, dar o deewar se tapkay ha bayabaan hona, wae dewangi e shouq k har dam mujh ko, aap jana udhar or aap hi hairaan hona, jalwa az bas k taqaza e nigah karta ha, johar e ayena bhi chahiay mizghan hona, isharat e qatl gah e ehl e tamanna mat pooch, Eid nazzara ha shamsheer ka uryaan hona, lay gaey khaak main ham dagh e tamanna e nishat, tu ho or aap basad rang e gulistaan hona, Ishrat e para e dil zakhm e tamanna khana, lazzat e raish e jigargharq e namakdaan hona, ki mery qatl k bad us ne jafa se tobah, haey us zood e pashemaan ka pashaiman hona, khaif us chara gra kapray ki qismat Ghalib, jis ki qismat main ho aashiq ka girebaan hona,

No comments:

Post a Comment