Zindagi mein tu sabhi pyar kiya kartay
hain
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe
chaahonga Tu mila hai tu yeh ehsaas huwa hai
mujh ko
Yeh meri umer muhabbat ke liye thori
hai
Ik zara sa gham-e-dauraan ka bhi huq
hai jis per Mein ne yeh saans tere liye rakh chori
hai Tujh pe ho jaaonga qurbaan tujhe
chaahonga
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe
chaahonga
Zindagi mein tu sabhi.... Apne jazbaat mein naghmaat rachaane
ke liye
Mein ne dharkan ki tarha dil mein
basaaya hai tujhe
Mein tassavur bhi judaee ka bhala kaise
karoon Mein ne kismat ki lakeeroon se
churaaya hai tujhe Pyar ka ban ke nighebaan tujhe
chaahonga
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe
chaahonga
Zindagi mein tu sabhi.... Teri har chaanp pe jaltay hain
khayaloon mein chiraag
Jab bhi tu aaye jagaata huwa jaadoo
aaye
Tujh ko choo loon tu phir ay jaan-e-
tamanna mujh ko Deir tak apne badan se teri khushboo
aaye Tu bahaaron ka hai unwaan tujhe
chaahonga
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe
chaahonga Zindagi mein tu sabhi pyar kiya kartay
hain ...!
Mein tu mar kar bhi meri jaan tujhe
chaahonga ...!
No comments:
Post a Comment