shahnawaz

Friday, May 27, 2011

saqi

Uss k mehwar sy nikloon dunya nazar aye Saqi
Har simt gham-e-hijr k toofaan hyn Saqi
Mat pooch k hum kitny pareshan hyn
Saqi
Har chehra nazar aata ha tasweer ki
soorat Hum shehar k logon sy b anjaan hyn
Saqi
Jis shehar-e-mohabt ne hmen loot lia
ha
Uss shehar sy ab kooch k saamaan hyn
Saqi Kashti abi umid ki doobi tu nhi ha phr
Kyun teri aankhon mn ye toofaan hyn
Saqi
Kar inka adabb,rakh hmen seeny sy lga
kr
Ye dard ye tanhaiyaan mehmaan hyn Saqi

No comments:

Post a Comment