shahnawaz

Saturday, May 28, 2011

suna hai log usay

ღ•๋● Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain ●๋•ღ Suna hai log usay aankh bhar ke
dekhtay hain
So us ke shahar main kuchh din thahr
ke dekhtay hain Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apnay aap ko barbad karkay
dekhtay hain Suna hai dard ki gahak hain chashm-e
nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar kar
dekhtay hain Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se
shagaf
So ham bhi mojaze apnay hunar ke
dekhtay hain Suna hai bole to baton se phool
jharatay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke
dekhtay hain Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar
dekhtay hain Suna hai hashr hain us ki gazal si
aankhain
Suna hai us ko hirn dasht bhar ke
dekhtay hain Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke
dekhtay hain Suna hai rat se barh kar hain kakulan
us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke
dekhtay hain Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat
hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke
dekhtay hain Suna hai us ke labon se gulab jalate
hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke
dekhtay hain Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhtay
hain Suna hai jab se hamail hain us ki
gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay
hain Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e
imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtay
hain Suna hai us ke badan ke tarash aisay
hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke
dekhtay hain Woh sarvqad hai magar begul-e
muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke
dekhtay hain Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke
dekhtay hain Suna hai us ke shabistan se mutasil hai
behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke
dekhtay hain Rukay tu gardishain us ka tawaf karti
hain
Chalay to us ko zamanay thahar ke
dekhtay hain Kisay naseeb ke be parahan usay
dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke
dekhtay hain Khaniyan hi sahi sab mubalaghay hi
sahi
Agar woh khwab hai tabir kar ke
dekhtay hain Ab us ke shahar main tharain ki kuch
kar jayan
Faraz aao sitaray safr ke dekhtay hain •♥•♥•♥•♥•♥•♥•

No comments:

Post a Comment