Hamari anaa ko gawara he na tha k
Mohabbat maang kar leytay
Aur Un may itna zarf na tha k bin
mangay luta deytay
Aik mudat tak iss dil ki beqarariyan na gayein
Her roz Ussay khat likhtay, her roz jala
deytay
Khud ko Uss ki Mohabbat k qabil he na
samjha warna
Toot k Ussay aisa chahtay k khud ko bhula deytay
Kabhi aazma k deekhtay Uss ki
khawahishon ki khatir
Uss k qadmon may bikhr jatay, Uss ki
rahon ko saja deytay…
No comments:
Post a Comment