Ab k Tajdeed-e-Wafa ka nhn Imkaan
jaana
Yaad kia tujh ko dila'ein tera Pai'maan
Jaana... Youn he Mausam ki Adda daikh k Yaad
aya hai
Kis Qadar jald badal jatay hein Insaan
Jaana... Zindagi teri Atta tho s0 tere Naam ki hai
Ham ne jaisay bhi Basar ki tera Ehsaan
Jaana... Dil yeh kehta hai k shayed Afsurda ho
tum bhi
Dil ki kia baat karin dil tu hai Naadan
Jaana... Awal Awal k Muhababt k Nashay Yaad
tu kar
Bin piye bhi tere chehra tha Gulistaan
Jaana... Muddaton se yehi Aalam na tawaqo na
Umeed
Dil pukaray he chala jata hai Jaana
Jaana... Her k0i apni he Aawaz se kaanp Uth'ta
hai
Her k0i apnay he saaye se Hiraasan
Jaana... Jis ko daikho wohi Zanjeer-e-Bappa
lagta hai
Shehar ka Shehar hoa Dakhil-e-Zindaan
jana... Ab tera Zikar k Sahyed he Ghazal mein
aye
Aur se Aur hoa Dard ka Unwaan
Jaana... Ham k Roothi hoi Rut ko bhi mana letay
hein FARAZ
Ham ne daikha he na Mausam-e-Hijraan
Jaana...
No comments:
Post a Comment