shahnawaz

Friday, June 10, 2011

lutf wo ishq mein paye hain k jee janta hai

Lutf wo ishq mein paye hain k jee janta hai
Ranj bhi itne uthaye hain k jee janta hai Jo zamane k sitam hain wo zamana
jane
Tu ne Dil itne dukhaye hain k jee janta
hai Tum nahi jante ab tak Ye tumhare
andaaz
Wo mere Dil mein samaye hain k jee
janta hai Inhi qadmon ne tumhare inhi qadmon
ki qasm
Khaak mein itne milaaye hain k jee
janta hai Dosti mein teri dar-parda hmare
dushman
Is qadar apne paraye hain k jee janta
hai

No comments:

Post a Comment