Khirrkiyan kis tarha ki hain, aur dar kaisa hai wo
Sochta hun jis mein wo rehta hai, ghar
kaisa hai wo Kaisi wo aab_o_hawa hai jis mein wo
leta hai saans
Aata jata hai wo jis per, rah_guzer kaisa
hai wo Kaun see rangat k hain us k
zameen_o_aasman
Chaon hai jis ki yahan tak, shajar kaisa
hai wo Main to us k ek ek lamhay ka rakhta
hun shumaar
Aur meray haal_e_dil say kaisa
bekhabar hai wo Us ka hona he bohat hai, wo kahin hai
to sahe
Kaya sarokaar us say hai mujh ko,
kaisa hai wo….
No comments:
Post a Comment