shahnawaz

Monday, June 13, 2011

apne mann ko mana liya mainey

Apne mann ko mana liya maine, Zindagi se nibha liya maine ! Ek khusboo si teri yaad aaye,
Ek pal muskara liya maine ! Pyaas tadpi to pee liya aansoo,
Bhukh me gam ko kha liya maine ! Dard ka geet ek tadapta sa,
Pyaar mein gunguna liya maine ! Mujhpe ilzam hai zamane ka,
Kyon tera dil chura liya maine ! Jab kabhi neend mujhse rooth gayi,
Chand ko ghar bula liya maine ! Kis tarah khusnaseeb hun mai bhi,
Tumko khwabon me paa liya maine !!

No comments:

Post a Comment