isi main khush hun mera dukh koi to sahta hai
chali chalun ki jahan tak ye sath rahta
hai zamin-e-dil yun hi shadab to nahin ai
dost
qarib main koi dariya zarur bahta hai na jane kaun sa fiqra kahan raqm ho
jaye
dilon ka hal bhi ab kaun kis se kahta
hai mere badan ko nami kha gai ashkon ki
bhari bahar main jaise makan dahta
hai..!!~
Parveen Shakir..
No comments:
Post a Comment