shahnawaz

Sunday, August 7, 2011

Main nay iss toor say chaha tujhay
aksar jana'n!
jaisay mehtab ko bay antt samandar
chahay !!
jaisay sooraj ki kiran seep k DIL main
utray jaisay khushboo ko hawa rang say hat
ker chahaay jaisay pathar k kalaijay say kiran
pothtee hay
jaisay gunchay khulay musam say hina
mangtay hain
jaisay khabou'n main khayalou'n ki
kama'n toot tee hay jaisay barish ki DUA aabla paa mangtay
hain !! maira har khab mairay sach ki gawahi
day ga
wusat_e_deed nay tujh say tairee
khahish ki hay
mairee sochoun main kabhi daikh
sarapa apna ! main nay duniya say alag tairee
parastish ki hay khahish_e_deed ka musam kabhi
dundhla jo hua
nooch dali hain zamanoun ki naqabain
main nay
tairee palkoun pay utartee hoie
subhoun k liye tood dali hain sitaroun ki tanabain main
nay ! Main nay chaha tairay husn ki gulzar
fiza !
mairee ghazloun ki qataroun say
dakhaktee jaye
main nay chaha k mairay fan k gulsita'n
ki bahar tairee aankhoun k gulaboun say
mahaktee jaye tay to ye tha k sajata rahay lafzoun k
kanwal
mairay khamosh khayaloun main
takalum taira
raqs kerta rahay bherta rahay
khushboo ka khumar mairee khahish k jazeeroun main
tabasum taira tu magar ajnabi mahool ki perwerda
kiran !!
mairee bhujhtee hoie ratoun ko sehar
kar na saki
tairee sansoun main maseehaie thee
lekin tu bhi chara_e_zakhm_e_deeda_e_tar kar na
saki !! tujh ko ahsas hi kab hay k kisi dard ka
dagh
Aankh say dil main utar jaye to kiya
hota hay ?
tu k seemab tabiyat hay tujhay kiya
maloom ?? musam_e_hijr tahar jaye to kiya hota
hay ?? Tu nay uss moor pay toda hay taluq k
jaha'n
daikh sakta nahin koie bhi palay ker
jana'n abb ye alam ha k aankhain jo khulai'n
ge apnee
yaad aye ga tairee deed ka manzar
jana'n !!! mujh say mangay ga tairay ahed_e_
muhubat ka hisab
tairay hijra'n ka dahkta hua mahshar
jana'n yooun mairay dil k barabar taira gham
aya hay
k jaisay shheshay k muqabil pathar
jana'n !! jaisay mahtab ko bay antt samandar
chahay
main nay iss toor say chaha tujhay
aksar jana'n

No comments:

Post a Comment