Pathar tha magar barf k gaalon ki tarah tha,
EK SHAKHS andheron mein ujaalon ki
tarah tha, Khawabon ki tarah tha na khayalon ki
tarah tha,
WOH Ilm-e-Reyazi k sawalon ki tarah
tha, Uljha hua aisa k kabhi hal ho nahi paya,
SULJHA hua aisa k misaalon ki tarah tha, WOH mil to gya tha magar apna he
muqaddar,
Shatranj ki uljhi hui chaalon ki tarah
tha, WOH rooh mein khushbu ki tarah ho
gya tehleel,
JO door bohat chaand k haalon ki tarah
tha...
No comments:
Post a Comment