Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati
Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou
Aankhen Bheeg Jaati Hain Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin
Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen
Bheeg Jaati Hain Teri Yaadon Ki Khushbu Khirkiyon Mein
Raqs Karti hay
Tere Gham Mein Sulagta Hoon Tou
Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Hans K Jheel Leta Hoon Judai Ki
Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta Hoon Tou
Aankhen Bheeg Jaati Hain Na Jane Ho Gaya Hoon Iss Qadar Hassas
Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hoon Tou Aankhen
Bheeg Jaati Hain Wo Sub Guzre Hue Lamhat Mujh Ko
Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hoon Tou
Aankhen Bheeg Jaati Hain Main Saara Din Bahot Masroof Rehta
Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe Rakhta Hoon Tou
aankhen Bheeg Jaati Hain Her Ek Muflis K Maathe Per Alum Ki
Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hoon Tou
Aankhen Bheeg Jaate Hain Bare Logon K Oonche Badnuma Aur
Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se Takta Hoon Tou
Aankhen Bheeg Jaati Hain Tere Kooche Se Ab Mera Ta’alluq Wajbi
Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta Hoon Tou
Aankhen Bheeg Jaati Hain Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hay
Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi Hansta Hoon Tou
Aankhen Bheeg Jaati Hain
No comments:
Post a Comment