Woh rula kar hans na paya der tak
jab mein ro kar muskuraya der tak bhoolna chaha kabhi us ko agar
aur woh yaad aya phi der tak be-sakhta mein khud hi hanss parra
us ne is darja rulaya der tak bhookey bachon ki tasali ke liye
maan ne phir paani pakaya der tak gungunata howa ja raha tha ik fakeer
dhoop rehti hai na saaya der tak kal andheri raat mein meri tarah
ik jugnu jagmagaya der tak .
No comments:
Post a Comment