khush thay kuch aisay teri rafaqat k
shauq main
manzil ganwa di ham ne musaafat k
shauq main nafrat hi pehr e daar mili har makaam
par
jis darr pe ham gaey hain mohaabat k
shauq main ham baargah e ishq main maqbool
youn hue
khud se bichar gaey teri qurbat k
shauq main lautay hain ab tou saath hai ranj o alam
ki bheer
niklay thay ghar se ik musarrat k shauq
main apnay chaman se raabta bilkul nahi
raha
sehra norad ho gaey daulat k shauq
main daaman main hasraton k siwa kuch
nahi
aisay lutay hain ham teri chahat k
shauq main .
No comments:
Post a Comment